Munawwar Rana Shayari: Hello Dosto, Aap yaha tak pahunche hai toh aap Munnawar Rana ko jante hi honge agar nahi bhi jante toh hum aapko bataa dete hai Munawwar Rana ek indian poet hai jinhone apni shayari me bahut kam shabdon mein bahut badi badi baatein kahi hai aur munnawar Rana ji ne bahut gazale, shayari aur nazme likhi hai unki gazalon mein se kuch lines ko mein niche share kar raha hu….
Munawwar Rana Shayari
खुद अपने आप को शदाब करना चाहता है
फकीर आपको आदाब करना चाहता है
Khud Apne Aap Ki Shadab Karna Chahta Hai
Faqeer Aapko Aadab Karna Chahta Hai
कहीं किसी से भी जिक्र-ए-जुदाई मत करना
इन आंसुओं को रौशनाई मत करना
जहाँ से जी ना लगे तो वहीं बिछड़ जाना
मगर खुदा के लिए बेवफाई मत करना
Kahi Kisi Se Bhi Zikar E Judai Mat Karna
In Aansuon Ko Roshnayi Mat Karna
Jaha Se Jee Naa Lage To Wahi Chhod Jana
Magar Khuda Ke Liye Bewafai Mat Karna
आ कहीं मिलते हैं हम, तांकि बहारें आ जाएं
इससे पहले की ताल्लुक में दरारें आ जाएं
Aa Kahi Milte Hai Hum, Taki Baharen Aa Jaayein
Isse Pehle Ki Talluk Mein Dararein Aa Jaayein
Munawwar Rana Shayari On Maa
तुजोरियों में ना राह ए खुदा में जाती है
यहाँ तो सारी कमाई दवा में जाती है
बुलंदियों का सफर भी यही होता है
पतंग देखिए कैसे हवा में जाती है
Tujoriyo Mein Naa Raas E Khuda Mein Jaati Hai
Yaha To Saari Kamayi Dawa Mein Jaati Hai
Bulandiyon Ka Safar Bhi Yahi Hota Hai
Patang Dekhiye Kaise Hawa Mein Jaati Hai
तेरी महफ़िल से अगर हम ना निकले जाते
हम तो मर जाते मगर तुझको बचा लेजाते
Teri Mehfil Se Agar Hum Naa Nikale Jaate
Hum To Mar Jaate Magar Tujhko Bacha Lejate
तुझसे नहीं मिलने का इरादा तो है लेकिन
तुझसे ना मिलने की कसम भी नहीं खाते
Tujhse Nahi Milne Ka Irada To Hai Lekin
Tujhse Naa Milne Ki Kasam Bhi Nahi Khate
Munawwar Rana 2 Line Shayari
दिल वो बस्ती है जहाँ कोई तमन्ना ना मिली
मैं वो पनघट हूँ जिसे कोई भी राधा ना मिली
Dil Wo Basti Hai Jaha Koi Tamanna Naa Mili
Main Wo Panghat Hu Jise Koi Bhi Radha Naa Mili
मैं अपने आप को इतना समेट सकता हूँ
कहीं भी क़बर बना दो में लेट सकता हूँ
Main Apne Aap Ko Itna Samet Sakta Hu
Kahi Bhi Kabar Bana Do Main Lett Sakta Hu
जब कभी धूप की शिद्दत ने सताया मुझको
याद आया बहुत एक पेड़ का साया मुझको
Jab Kabhi Dhoop Ki Shiddat Ne Sataya Mujhko
Yaad Aaya Bahut Ek Pedd Ka Saya Mujhko
Munawwar Rana Shayari In Hindi
मेरी खवाइश थी के मै रोशनी बाँटू सबको
ज़िंदगी तूने बहुत जल्द बुझाया मुझको
Meri Khawaish Thi Ke Main Roshni Baantu Sabko
Zindagi Tune Bahut Jald Bujhaya Mujhko
उनसे मिलिए जो यहाँ फेर-बदल वाले हैं
हमसे मत बोलिए हम लोग ग़ज़ल वाले हैं
Unse Miliye Jo Yaha Fer Badal Wale Hai
Humse Mat Boliye Hum Logg Gazal Wale Hai
फकीरों में उठे बैठे हैं, शाहाना गुज़ारी है
अभी तक जितनी गुज़ारी है फकीराना गुज़ारी है
Fakeeron Mein Uthe Bethe Hai, Shahana Guzari Hai
Abhi Tak Jitni Guzari Hai Fakeerana Guzari Hai
Poet Munawwar Rana Ki Shayari
बाप का रुतबा भी कुछ कम नहीं होता लेकिन
जितनी माँएँ है फरिश्तों की तरह होती है
Baap Ka Rutba Bhi Kuch Kam Nahi Hota Lekin
Jitni Maaye Hai Farishton Ki Tarah Hoti Hai
जागता रहता था इक शक़्स हमारी खातर
अब यह एहसासे नदामत नही सोने देता
Jagta Rehta Tha Ek Shaks Humari Khatar
Ab Ye Ehsase Nadamt Nahi Sone Deta
हमें दिन तारीख़ तो याद नहीं बस इससे अंदाज़ कर लो
हम उस मौसम में बिछड़े थे जब गाँव में झूला पड़ता है
Humein Din Tarikh To Yaad Nahi Bas Isse Andaaz Kar Lo
Hum Us Mausam Mein Bichhde The Jab Gaon Mein Jhula Padta Hai
Munawwar Rana Gazal
हँस के मिलता है मगर काफी थकी लगती है
उसकी आंखें कई सदियों की जगी लगती है
Hass Ke Milta Hai Magar Kafi Thaki Lagta Hai
Uski Aankhein Kayi Sadiyon Ki Jaagi Lagti Hai
उसकी आँखें है सितारों में सितारों जैसी
किसी मंदिर में चराग के कतारों जैसी
Uski Aankhein Hai Sitaron Mein Sitaron Jaisi
Kisi Mandir Mein Charag Ke Kataron Jaisi
अब जुदाई के सफ़र को मेरे आसान करो
तुम मुझे खवाबों में आकर न परेशान करो
Ab Judai Ke Safar Ko Mere Aasan Karo
Tum Mujhe Khawabon Mein Aakar Naa Pareshan Karo
Munawwar Rana Shayari Lines
मुझे सँभालने वाला कहाँ से आएगा
मै गिर रहा हूँ पुरानी इमारतों की तरह
Mujhe Sambhalne Wala Kaha Se Aayega
Main Gir Raha Hu Purani Imaraton Ki Tarah
मै पटरियों की तरह ज़मीन पर पड़ा रहा
सीने से ग़म गुज़रते रहे रेल की तरह
Main Patriyon Ki Tarah Zameen Par Pada Raha
Seene Se Gam Guzarte Rahe Rail Ki Tarah
Note: Yaha Likhi Gayi Poet Munawwar Rana Ki Shayari Complete Nahi Hai Yeh Unki Gazalon Mein Se Layi Gayi Kuch Lines Hai Agar Aap Unki Gazalen Aur Shayari Ko Padhna Chahte Hai Toh Aapko Unki Bahut Sari Books Mil Jayengi Jinhe Lekar Aap Padh Sakte Ho. Thank You
Read More: